Hijar ka taara doob chala hai dhalne lagi hai raat wasi
Qatra qatra baras rahi hai ashkon ki barsaat wasi
Tere bad ye duniya wale mujh ko pagal kar den gay
Khushbo k dais men mujh ko le chal apne sath wasi
Yun hi chup ki mohar laga kar kb tak ghum sum betho gay
Khamoshi se dam ghut_ta hai cherro koi bat wasi
Aj to us ka chehra bhi kuch badla badla lagta hai
Mosam badla, duniya badli, badl gay haalat wasi
Mere ghar khushiyon ka ye raqs usi k dam se hai
Us k sath chali jay gi pholoon ki baraat wasi
Chor wasi ab us ki yaden tujh ko pagal kar den gi
Tu qatra hai wo darya hai dekh apni auqaat wasi
0 comments:
Post a Comment
Add your comments, Poetry related to this Poetry.