Showing posts with label Nazam. Show all posts
Showing posts with label Nazam. Show all posts

May 10, 2018

Yeh Kub Kehti Hoon Tum Mere

Yeh kub kehti hoon tum mere glay ka haar ho jao
Wahin say laut jana tum jahan bezaar ho jao

Mulaqaton main waqfa es liye hona zarori hai
Key tum ek din judai key liye tayyar ho jao

Bohaut jald samajh main anay lagtay ho zamany ko
Bohaut asaan ho thoray bohaut dushwar ho jao

Blaa ki dhoop say aie hoon mera haal to dekho
Bus ab aisa karo tum saaya-e-dewar ho jao

Abhi pardhnay kay din hain likh bhi lena haal-e-dil apna
Magar likhna tabhi jub laiq-e-izhar ho jao

Yeh Kub Kehti Hoon Tum Mere

May 8, 2018

Woh Bay Irada Sahi Titliyon Main Rehta Hai

Woh bay irada sahi titliyon main rehta hai
Ke mera dil to meri muthiyon main rehta hai

Main apnay hath say dil ka gala daba dungi
Mere khilaf yehi saazishon main rehta hai

 Bacha kay khudh ko guzerna muhall lagta hai
Tamam shaher mere raston main rahta hai

Meri kitaab mohabbat main es ka ziker nahi
Who khoush khayal galat fahmiyon main rehta hai

Woh Bay Irada Sahi Titliyon Main Rehta Hai

Mar 21, 2015

Intezar mat karna

Intezar mat karna,
Mere dil me
Tumhare qurb ki chahat
Musalsal
Barhti jati hai
Kahin aisa na ho
Ke mein
Kisi kamzoor lamhe
Achanak hi
Tumhare was aa jaaon
Magar is baat ko tum
Zeesht ka unwaan mat karna
Safar me
Zindagi ke barhte rehna tum
Kahin ruk kar thehar kar bhi
Safar ko mat gunwana tum
Meri rahin
Me aankhen mat bichana tum...

انتظار مت کرنا 
مرے دل میں 
تمھارے قرب کی چاہت
مسلسل 
بڑھتی جاتی ہے
کہیں ایسا نہ ہو 
کہ میں
کسی کمزور لمحے میں
اچانک ہی 
تمھارے پاس آجاؤں
مگر اس بات کو تم 
زیست کا عنوان مت کرنا 
سفر میں 
زندگی کے بڑھتے رہنا تم 
کہیں رک کر ،ٹھہر کر بھی
سفر کو مت گنوانا تم 
مری راہوں 
میں آنکھیں مت بچھانا تم

By: Dua Ali

Dec 27, 2013

Haal Kya Poochtay Ho Dard-e-Dil Ka

Haal Kya Poochtay Ho Dard-e-Dil Ka,
Hum To Yaadon Ke Sataye Huey Hain,
Rooh Mein To Tum Samaye Huey Ho,
Hum To Tere Daar Se Bhi Thukraye Huey Hain,
Dil Ke Siva Tumhein Or Kiya Dain,
Ek Jaan Hai Woh Bhi Tum Ko Lutaye Huey Hain,
Hum Jantay Hain Awais, Kiya Beeti Dil Pay Hamaray,
Woh Pathar Dil Hain,
Hum Hi Dhoka Khaey Hue Hain....

Submitted by: Awais

Oct 25, 2013

Ek Shaam Guzari Sahil Pe


Ek Shaam Guzari Sahil Pe
Woh Saath Mere Thi Sahil Pe
Piyar Bhari Uski Baton Me
Saanson Me Utarti Khushbu Me
Zulfon Ki Ghneri Chhaoun Me
Aankhon Se Uski Maey Pee Kar
Tha Kesa Nasha Mere Tan Me
Utarti Hi Gai Who Meri Man Me
Esi Sham Guzari Sahil Pe
Kiya Khoob Guzari Sahil Pe

by: Abdul Qavi Khan

Sep 13, 2013

Mohabbat Jeet Hoti Hai

'Mohabbat Jeet Hoti Hai'
'Magr Ye Haar Jati Hai'

Kabhi Sil Sooz Lamhon Se,
Kabhi Bekaar Rasmon Se
Kabhi Taqdeer Walon se,
Kabhi Majboor Qasmon Se,

'Mohabbat Jeet Hoti Hai'
'Magr Ye Haar Jati Hai'

Kabhi Ye Chand Jesi Hai,
Kabhi Ye Dhoop Jesi Hai,
Kisi Ka Chain Banti Hai,
Kisi Ko Rool Deti Hai,
Kabhi Ye Lehje Par Jati Hai,
Kabhi Ye Maar Jati Hai,

'Mohabbat Jeet Hoti Hai'
'Magr Ye Haar Jati Hai'


Aug 1, 2013

Mere Walid Tera Shukriya

meray walid Tera shukria poet raja kashif janjua (urdu)

Mere Walid Tera Shukriya,
Jo zindagi ka inaam hai
Sab tera hi muqaam hai
Har soch
Teri soch hai
Har raah
Teri raah hai
Mein bhatak jata
Raah kia pata
Tu ne samjhaya
Tu ne batlaya
Tu ne socha bhala
To phir rasta khula
Mere aqeedton ke aansu qabool kar
Meri hare k khata bhool kar
Mujhe apne galay se laga
Meri manzilon ka pata bata
Mera zehan
Teri soch se munawar hai
Har rasta
Manzilon ki aurh behay
Agarcha ilfaaz nahi
Koi aaghaz nahi
Phir bhi
Mere walid
Tera shukriya
Tu ne socha yehi
Tu ne chaha yehi
‘Janjua’ Jahan jahan paye
Rahatoon ke samaan paye

Jul 29, 2013

Kuch Khwab Hain Jin Ko Likhna Hai

Kuch Khwab Hain Jin Ko Likhna Hai,
Tabeer Ki Soorat Deni Hai
Kuch Loog Hain Ujray Dil Walay
Jinhein Apni Mohabbat Deni Hai
Kuch Phool Hain Jin Ko Chunna Hai
Aur Haar Ki Soorat Deni Hai
Jinhein Bantna Hai Kuch Logon Mein
Un Ko Bhi To Rahat Deni Hai
Aye Umer_Rawan!
Aahista Chal..
Abhi Khasa Qarz Chukana Hai....

Kuch Khwab Hain Jinko

Jul 24, 2013

Bicher Bhi Jaon, Mein Tum Se To Udaas Mat Hona

Bicher Bhi Jaon, Mein Tum Se To
Udaas Mat Hona
Mein Tumhari Soch Ke Jazbon Mein
Bas Jaon Ga
Tum Jab Bhi Kisi Ko Socho Gi
To Sirf Mein Hi Tumhein Yaad Aaon Ga...

Soch-Yaad-Shayari

Jun 17, 2013

Jo Bhi Likhta Hun Sabhi Harf Mita Deta Hun

Jo Bhi
Likhta Hun
Sabhi Harf
Mita Deta Hun,
Mein Uske Bina
Khud Apni
Kahani Ko Bhi
Mukammal Nahi Hone Deta…

Jo-Bhi-Likhta-Hun

Mar 20, 2013

Kiya Tum Bhi Aisa Karte Ho...?


Zarf Ke Anokho Pindar Me,
Dil Ke Rangeen Bazaar Me,
Mohabbat Ke Izhaar Me,
Nafrat Ke Iqraar Me,
Khud Apne Hi Kirdar Me,
Hum Tum Ko Socha Karte Hain,
Aur Khud Me Khoja Karte Hain,
Kiya Tum Bhi Aisa Karte Ho...?
Tum Hum Ko Socha Karte Ho...?
Aur Khud Me Khoja Karte Ho....?

Mar 17, 2013

Bara Dushwar Hota Hai - Sad Poem

Bara-Dushwar-Hota-Hai

Bara dushwar hota hai,
Zara sa faisla karna,
Ke jeevan kahani ko,
Yahan be_zubani ko,
Kahan se yaad rakhna hai,
Kahan se bhool jana hai,
Usey kitna batana hai,
Usey kitna chupana hai,
Kahan hans hans ke rona hai,
Kahan awaz deni hai,
Kahan khamoosh rehna hai,
Kahan rasta badalna hai,
Kahan se lout aana hai,
Bara dushwar hota hai,
Zara sa faisla karna….

Feb 25, 2013

Koi Waqt Purana Yaad Aaya - Remember Me

Koi Waqt Purana Yaad Aaya,
Phir Dour Suhana Yaad Aaya..

Or Chupkey Se In Deewaron Pe,
Kuch Likh Kar Jana Yaad Aaya...

Tera Milna Neend Ki Chaaon Mein,
Or Sar Rakh Dena Kandhe Par...

Mera Yeh Kehna Koi Dekh Na Ley,
Tera Woh Ghabrana Yaad Aaya...

Aisa Bhi To Aksar Hota Tha,
Mein Tujh Ko Chorney Jata Tha...

Barish Ki Bheegi Raaton Mein,
Tera Haath Hilana Yaad Aaya...

Wo Waqt Gaya Beetay Lamhy,
Ab Har Janib Tanhai Hai...

Bas Ek Hi Manzar Aankhon Mein,
Tera Choor Ke Jana Yaad Aaya....

Feb 24, 2013

Raat Ka Pichla Pehar Hai - Teri Yaad

Raat Ka Pichla Pehar Hai,
Matmi Malboos Orhey,
Dard Ki In Wadiyon Se,
Wehshaton Ke Raste Se,
Larkharati, Dagmagati,
Baal Khole, Bain Karti,
Chandni Ko Saath Ley Kar,
Meri Janib Chal Pari Hai,
Aa Rahi Hai…..
”Teri Yaad”

Yaad Shayari

Feb 22, 2013

Yaad Hai Mujh Ko - Sad Poetry

Yaad Hai Mujh Ko,

Us Ke Zulfon Se Khail Kay,
Mein Mehak Sa Jata Tha,
Us Ko Chuu Kar Mein,

Behak Saa Jata hai,

Us Ki Aankhon Mein,
Khud Ko Dekh Kar,
Mein Chehak Sa Jata Tha,
Aaj Na Zulfain Hain Us Ki,
Na Wo Hai Mere Paas,
Or Shayar Meri Tasweer Bhi,
Beh Gai Hai Aansuon Ke Selaab Mein....

Shared By: Usman

Feb 17, 2013

Mujhe Ab Dar Nahi Lagta - Mohsin Naqvi

Mujhe Ab Dar Nahi Lagta
Kisi Ke Door Jane Se,
Taluq Toot Jane Se,
Kisi Ke Maan Jane Se,
Kisi Ke Rooth Jane Se,

Mujhe Ab Dar Nahi Lagta!
Kisi Ko Aazmane Se,
Kisi Ke Aazmane Se.
Kisi Ko Yaad Karne Se.
Kisi Ko Bhool Jane Se,

Mujhe Ab Dar Nahi Lagta
Kisi Ko Chor Dene Se,
Kisi Ke Chor Jane Se.
Na Samaa Jalane Se,
Na Sama Bujhane Se,

Mujhe Ab Dar Nahi Lagta
Akele Muskurane Se
Kabhi Aansu Bahane Se
Na Is Sare Zamane Se
Haqeeqat Se Fasane Se

Mujhe Ab Dar Nahi Lagta
Kisi Ki Naa_Rasai Se
Kisi Ke Paa_Rsai Se
Kisi Ki Bewafai Se
Kisi Dukh Intehai Se

Mujhe Ab Dar Nahi Lagta
Na To Is Paar Rehne Se
Na To Us Paar Rehne Se
Na Apni Zindagani Se
Na Ik Din Maut Aane Se
Mujhe Ab Dar Nahi Lagta…..

Mujhe Ab Dar Nahi Lagta

Jan 12, 2013

Dua Ki Soorat Mein Uski Khatir – Mohabbat Dua Shayari

Dua Ki Soorat Mein Uski Khatir,
Jo Mere Honton Se Lafz Nikle,
Jo Meri Aankhon Se Ashk Nikle,
Unhi Ke Badle Mein Aey Khudaya!

Jab Bhi Uska Naseeb Likhna!

Urooj Likhna,
Kamal Likhna,
Kabhi Na Harf-e-Zawal Likhna,
Khushiyan Likhna,
Aur Uski Umer-e-Daraz Likhna….

Dua
By: Jannat Abbasi

Jan 8, 2013

Ager Mohabbat Yehi Hai Jana - Love Dard Poem

Libas Tan Se Utaar Dena,
Kisi Ko Banhon Ka Haar Dena, 
Phir Uske Jazbon Ko Mar Dena...

Ager Mohabbat Yehi Hai Jana
To Maaf Karna Mujhe Nahi Hai

Gunah Karne Ka Soch Lena,
Haseen Pariyan Dabooch Lena,
Phir Unki Aankhein Hi Noch Lena..

Ager Mohabbat Yehi Hai Jana
To Maaf Karna Mujhe Nahi Hai


Kisi Ko Lafzon Ka Jaal Dena,
Kisi Ko Jazbon Ki Dhaal Dena,
Phir Uski Izzat Uchal Dena....

Ager Mohabbat Yehi Hai Jana
To Maaf Karna Mujhe Nahi Hai

Andheir Nagri Mein Chalte Jana,
Haseen Kaliyan Masalte Jana,
Aur Apni Fitrat Pe Muskurana,

Ager Mohabbat Yehi Hai Jana
To Maaf Karna Mujhe Nahi Hai

Saja Raha Hai Har Ek Diwaana,
Khayalo-O-Husn-O-Jamaal Jana,
Khayal Kya Hain Hawis Ka Tana,

Ager Mohabbat Yehi Hai Jana
To Maaf Karna Mujhe Nahi Hai

Jan 4, 2013

Tum Mere Ho Kar Nahi Dete - Wasi Shah Nazam

Jitni Duain Aati Thin,
Sab Maang Leen Hum Ne
Jitne Wazeefe Yaad The Sare,
Kar Bethe Hain
Kai Tarhan Se Jee Dekha Hai
Kai Tarhan Se Mar Bethe Hain
Lekin Janaa!
Kisi Bhi Soorat
Tum Mere Ho Kar Nahi Dete..! :(

Wasi Shah Nazam

Jan 2, 2013

Kabhi Ye Dawaah Ke Wo Mera Hai Faqat Mera

 Kabhi Ye Dawaah Ke Wo Mera Hai Faqat Mera,
Kabhi Ye Dar Ke Wo Mujy Se Judaa To Nahi,
Kabhi Ye Dua Ke Use Mil Jain Sare Jahan Ki Khushiyan
Kabhi Ye Khauf Ke Wok Hush Mera Mina To Nahi
Kabhi Ye Tamanna Ke Bas Jaon Us Ki Nigahon Mein
Kabhi Ye Dharka Ke Uski Aankhon Ko Kisi Ne Dekha To Nahi
Kabhi Ye Khwahish Ke Zamana Ho Muntazir Us Ka
Kabhi Ye Beham Ke Wo Kisi Se Mila To Nahi
Kabhi Ye Aarzu K Wo Jo Mange Mil Jaye Use
Kabhi Ye Waswasa Ka Usne Mera Siwa Kuch Manga To Nahi

by: Jannat Abbasi