Shohada-e-Peshawar
Pairon Se Masly Ja Rahe Hain Mere Sheher K Phool
Ya Rab Karna In Reza Reza Kaliyon K Nazrany Qubool
Nikle The Wo Teri Khatir Talash-e-ilm Me Magar
Lotna Ghar Ki Janib Ek Pal Me Gaye Bhool
Chalni Kar Diye Gaye Seeny In Masoomon K Magar
Parne Na Di Parcham-e-Aziz Pr Zara Bhi Dhool
Tabahi Kar K Wo Kehte Hain Mil Gai Hamein Jannat
Sun Lo Kafiro Nahi Hai Ye Deen-e-Muhammadi Ka Usool
Jo Nabi Wuzoo Me Kam Pani Bahane Ko Farmaye
Kese Chahe Ga K Ho Khoon Alood Koi Phool
Mere Dushman Jab Talak Ye Deen, Ye Qoum Baqi Hai
Nahi Mumkin Tere Liye Kabhi Jannat Ka Husool
Aj Ek Musalman Tujhe Lal-Kaarta Hai Dal De Hathiyar
Warna Darbadar Phire Ga Liye Hue Kashkool...
Submitted By: Asia Shad
Submitted By: Asia Shad
0 comments:
Post a Comment
Add your comments, Poetry related to this Poetry.