Farhat Abbas Shah Poetry
Mohabbat Kehti Hai, Chalo ‘Farhat’ Hawa Ke Sath Chalty Hain,
Mein Khamoshi Se Is Ke Sath Chal Deta Hun Bujhne Ko

Wo Mujh Se Poochti Hai, Tum Kahan Ghybe Ho Sadiyon Se
Mein Kehta Hun, Hazaron Waswason Ke Darmiyan Gum Hon

Wo Mujh Se Poochti Hai, Raat Ki Be Chainiyan Kia Hai
Mein Kehta Hun, Wohi Jo Dooriyon Ke Dil Me Hoti Hain

Wo Mujh Se Poochti Hai, Khoof Ka Dorania Kia Hai
Mein Kehta Hun, Jo Dil Aur Gham Ka Hota Hai Museebat Me

Wo Mujh Se Poochti Hai, Baadlon Ki Umer Kitni Hai,
Mein Kehta Hun, Tamazat Ke Mutabiq Paniyon Ke Waqt Jitni Hai