Oct 17, 2018

Ab Tu Kuch Aur Andaaz Se Lubhane Lagay

Ab Tu Kuch Aur Andaaz Se Lubhane Lagay

Ab tu kuch aur andaaz se lubhane lagay
Qissa-e-dard jo phir se sunanay lagay
Jub mehsoos kiya khud ko tanhai main
Kitne ayeenay mera saath nibhane lagay
Is ke andaz-e-mohabbat ki tareef keron
Pehlay loota phir loot ke basane lagay
Meray aansuon ko mooti kehne wala
Woh jo bichra tu ye mooti bhi ganwane lagay
Ye taghaful faqat mujhko satane ke liyay
Ke bazm-e-ghair main bhi ab to hain jane lagay
Lafzoon ki haqeeqat jub khuli Mohsin
Saray alfaaz tera qissa sunanay lagay

Submitted By: Mohsin Shehzad Mohsin

1 comments:

Add your comments, Poetry related to this Poetry.