Aug 10, 2018

Ghar Se Nikal Kar Apne Tere Aastan Tak

Ghar Se Nikal Kar Apne Tere Aastan Tak

Ghar se nikal kar apne tere aastan tak puhanchon
Gman ke rangon mai had-e gman tak puhanchon

Phir unhi mosmo ke darmyan chalte chalte
Baharon se nikalte hoye khazan tak puhanchon

Raat tu baqi hai abi jane ka faisal na kro
Teri aankhon se mai ishq ki dastan tak puhanchon

Kai sadyon se musafat ko smeta hai mai ne
Tu hi bta de ab mai aur khan tak puhanchon

Tuje aangan mai sitaron ki tarah sjane ke liye
Zmeen pe rang sjaon aur asamn tak pohchon

0 comments:

Post a Comment

Add your comments, Poetry related to this Poetry.