Tu Ne Dekha Hai Kabhi Ek Nazar Shaam K Baad
Kitne Chup-Chaap Se Lagte Hain Shajar Shaam K Baad
Itne Chup-Chaap K Raste Bhi Rahenge Laa-ilm
Chor Jaenge Kisi Roz Nagar Shaam K Baad
Main Ne Aise Hi Gunaah Teri Judai Me Kiye
Jese Tufaan Me Koi Chor De Ghar Shaam K Baad
Sham Se Pehle Wo Mast Apni Uraanon Me Raha
Jis K Hathon Me The Toote Hue Par Shaam K Baad
Raat Beeti To Ginay Aable Aur Phir Socha
Kon Tha Baa-Is-E-Aaghaz-E- Safar Sham K Baad
Tu Hai Sooraj Tujhe Maloom Kahan Raat Ka Dukh
Tu Kisi Roz Mere Ghar Me Utar Sham K Baad
Laut Aaye Na Kisi Roz Wo Awara Mizaaj
Khol Rakhte Hain Isi Aas Pe Dar Shaam K Baad...
0 comments:
Post a Comment
Add your comments, Poetry related to this Poetry.