Taaron Ki Tarha Hum Ne
Ek Shaks Ko Chaaha Tha
Apno Ki Tarha Hum Ne
Ek Shaks Ko Samjha Tha
Phoolon Ki Tarha Hum Ne
Wo Shaks Qayamat Tha
Kya Us Ki Karen Baaten
Din Us K Liye Paida
Aur Us Ki Hi Thi Raaten
Kab Milta Kisi Se Tha
Hum Se Thi Mulaqaten
Rang Us Ka Shahaabi Tha
Zulfon Me Thi Mehkaaren
Aankhen Thi K Jadu Tha
Palken Thi K Talwaaren
Dushman Bhi Agar Dekhe
Sau Jaan Se Dil Haaray
Kuch Tum Se Hi Wo Milta Tha
Baaton Me Shabaahat Thi
Haan Tum Sa Hi Lagta Tha
Shokhi Me Sharaarat Me
Lagta Bhi Tumhi Sa Tha
Dastoor-e-Mohabbat Me
Wo Shaks Humen Ek Din
Apno Ki Tarha Bhoola
Taaron Ki Tarha Dooba
Phoolon Ki Tarha Toota
Phir Hath Na Aaya Wo
Hum Ne To Bohat Dhoonda
Tum Kis Liye Chonkay Ho
Kab Zikr Tumhara Hai
Kab Tum Se Taqaaza Hai
Kab Tum Se Shikaayat Hai
Ek Taaza Hiqaayat Hai
Sun Lo To Enaayat Hai
Ek Shaks Ko Chaaha Tha
Taaron Ki Tarha Hum Ne...
0 comments:
Post a Comment
Add your comments, Poetry related to this Poetry.