New: Ye Saal Bhi Aakhir Beet Gaya
Koi Haar Gaya, Koi Jeet Gaya
Ye Saal Bhi Aakhir Beet Gaya
Kabhi Sapne Sajaye Aankhon Mein
Kabhi Beet Gaye Pal Baaton Mein
Kuch Talkh Se Lamhaat Bhi The
Kuch Haadse Or Sadmaat Bhi The
Kuch Be-Rukhi, Kuch Be-Chaini
Kuch Man Pe Simti Veerani
Kuch Lamhe The Yaadgar Bohat
Kuch Lamhon Ko Barbaad Kia
For You My Love.... </3
"Par Ab Ke Baras Aye Dost Mere
Mujhe Rab Se Dua Ye Mangne Do
Koi Pal Na Tera Udaas Guzre
Koi Rog Na Tujhe Raas Guzre
Koi Tu Phoolon Ki Tarhan Khila Kare
Koi Shakhs Na Tujh Se Gila Kare
Tu Khush Rahe, Abaad Rahe
Tu Jo Chahe Wo Mil Jaye
Teri Maaf Wo Har Ek Khata Kare
Tujhe Ause Hi Rab Ata Kare..."
Ye Saal Bhi Aakhir Beet Gaya....
0 comments:
Post a Comment
Add your comments, Poetry related to this Poetry.