Urdu War Poetry (Poem)
Aye Watan Ke Sajeelay Jawano,
Mere Naghme Tumhare Liye Hain…!
Mere Naghme Tumhare Liye Hain…!
Sarfaroshi Hai Emaan Tumhara,,
Jurraton Ke Parastar Ho Tum…
Jurraton Ke Parastar Ho Tum…
Jo Hifazat Karain Sarhadon Ki,
Wo Falak Bos Deewar Ho Tum…
Wo Falak Bos Deewar Ho Tum…
Aye Shujaat Ke Zinda Nishano,
Mere Naghme Tumhare Liye Hain…
Mere Naghme Tumhare Liye Hain…
Biwiyon, Maaon, Behnon Ki Nazrain,
Tum Ko Dekhain To Yun Jagmagain…
Tum Ko Dekhain To Yun Jagmagain…
Jese Khamoshiyon Ki Zabani,
De Rahi Hon Wo Tum Ko Dua’an…
De Rahi Hon Wo Tum Ko Dua’an…
Qaum Ke Aye Jarri Paasdano,
Mere Naghme Tumhare Liye Hain…
Mere Naghme Tumhare Liye Hain…
Tum Pe Jo Kuch Likha Hai Shairoon Ne,
Us Mein Shamil Hai Aawaz Meri…
Us Mein Shamil Hai Aawaz Meri…
Ur Ke Pohncho Ke Tum Jis Ufaq Par,
Sath Jaye Gi Parwaaz Meri….
Sath Jaye Gi Parwaaz Meri….
Chand Taroon Ke Aye Raazdanon,
Mere Naghme Tumhare Liye Hain…
Mere Naghme Tumhare Liye Hain…
Aye Watan Ke Shajeelay - Video by Noor Jahan
Aye Watan Ke Shajeelay Video by Noor Jahan
0 comments:
Post a Comment
Add your comments, Poetry related to this Poetry.